Thursday, July 30, 2009

Largest QURAN PAAK





















Humain Bulwayen Gay Aqa

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Kabhi to Sabz Gumbad ka Ujala Hum Bhi Dekhe Gain
Humhey Bulwaaye Gay Aaqa Madina Hum Bhi Dekhe Gain

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Dharakh Uthey Ga Ye Dil Yaa Dharakhna Bhool Jaaye Gaa
Dilley Bismill Ka Uss Darpar Tamasha Hum Bhi Dekhe Gain

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Aadab se haath bandhe Unke Rozey Par kareh ho Gain
Sunheri Jaaliyon Kaa Yoo Nazaara Hum Bhi Dekhe Gain

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Darrey Dolatt Se Lottahya Nahi Jata Koi Khalli
Waha Khairaaat ka Batna Khudayaa Hum Bhi Dekhe Gain

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Barasti Gumbade Khizra se takraati Huwee Bhoondey
Wahaa Par Shaan se Baarish Barasnaa Hum Bhi Dekhe

Gain Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Guzaare Rath Din Apne Issee Umeed Par Hamne
Kisee Din Toh Jamaal E Roohey Zaibah Hum Bhi Dekhe Gain

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Kabhi to Sabz Gumbad ka Ujala Hum Bhi Dekhe Gain
Humhey Bulwaaye Gay Aaqa Madina Hum Bhi Dekhe Gain

Humko Bulana Yaa RasoolAllah (salalahualaihiwassa lam)

Har Waqt Tasawwar Main

Har waqt Tasaw'wur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghadi ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chit'thi mili ho

Bigri Bhi Banayen Gay

Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain ge
Ghabrao Na Deewano Sarkar Bolain Ge

Hum masjid e Nabvi key Dekhy Ge Minaroon Ko
Aur gumbad E Khazran key Purnoor nazaroon Ko
Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay ge

Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To khawaboo Ki
Gir Jay Gein Dewarein Sab Dekhna Rahoo Ki
Hum Roza E Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Ge

Dil Ishq E Nabi mey Tum Kuch Aur Tarapny Doo
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo
Hum Tishna Dily Chal Kar Zam Zam Sey Bojhay Ge

Jab Hashar Key Medan Mey Eik Hashar Bapaa Ho Ga
Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga
Ummat Ko Shahe batah Kamli Mey Chupain ge

Lillah Mohammad Sey Rodad Meri kehna
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana
Ishrat Ko Dare Aqdas Kab aap Bolain Ge

Ghabrao Na Deewano Sarkar Bolain Ge

Ae Ishq-E-Nabi Dil Main Bhi Sama Ja'na. (naat; lyrics)

Ae Ishq-E-Nabi Mery Dil Mey Bhi Sama Jana
Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana

Jo Rang Key ?? Par Rome Pey Charhaya Tha
Us Rang Ki Kuch Rangat Mujh Pay Bhi Charha Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana
Qudrat Ki Nigahein Bhe Jis Chehry Ko Taktee Thein

Us Chehra E Anwar Ka Deedar Kara Jana
Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana

Jis Khwab Mey Ho Jay Deedar E Nabi Hasil
Aey Ishq Kabhi Mujh Ko Neend Easi Sula Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana bana Jana
Deedar E Mohammad Ki Hasrat To Rahey Baki

Juz Is Key Har Eik Hasrat Is Dil Sey Mita Jana Dunia Sey Niaz Ho Jab Un Ko Baki Taraf Jana
Dagh e Ghame Ahamad Sey Seny Ko Saja Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana
Aey Ishq E Nabi Mery Dil Mey Bhi Sama Jana


SUBHANALLAH